Breaking News

Thursday 8 August 2013

Toote sapne

Image source : cooldjsen.blogspot.com
khuda , teri bandagi bhi kitni ajeeb hai
zindagi toote sapno ki ek taleem hai
jitna pakdna chaaho , fisal jaati hai
ban kar hawa , guzar jaati hai


bheji dua bhi thukra di gai
dard ko bhi aansuo ki zubaani samajh aa gai
khushia nahi deti ab dastak dil pe
dhadkano ko bhi ab aadat na rahi mehmano ki




 
Read more ...

Sunday 4 August 2013

Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka....(friendship day special)






Dosti naam hai sukh-dukh ke afsaane ka.
Yeh raaz hai sada muskuraane ka.
Yeh pal do pal ki rishtedaari nahi.
Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka.

Zindagi mein aakar kabhi na vaapas jaane ka.
Najaane kyu ek ajeeb si dor mein bandh jaane ka.
Ismein hoti nahi hain shartein.
Yeh to naam hai khud ek shart mein bandh jaane ka.
Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka.

Dosti dard nahi rone rulane ka.
Yeh to armaan hai ek khushi ke ashiyaane ka.
Ise kaanta na samajhna koi.
Yeh to phool hai Zindagi ki raahon ko mehkaane ka.
Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka.

Dosti naam hai doston mein khushiya bikher jane ka.
Ankhon ke ansuon ko noor me badal jane ka.
Yeh to apni hi taqdeer mein likhi hoti hai.
Dheere-dheere khud afsaana ban jati hai zamaane ka.
Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka.

Dosti naam hai kuch khokar bhi sab kuch paane ka.
Khud rokar bhi apne dost ko hasane ka.
Ismein pyaar bhi hai aur taqraar bhi.
Dosti toh naam hai us taqraar mein bhi apne yaar ko manaane ka.
Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka.
Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka....by (anchu)
Read more ...
Designed By Published.. Blogger Templates