Image source :
www.audibleodyssey.org |
kadar kya kare is duniya ki jise hamari kadar nahi
kahabar kyun rakhe uski jise hamari fikar hi nahi
uljhan mein the voh , iski hume bhi thi khabar
par tham jaae hum , aisi humme thi na sabar
pas aae jab voh toh yeh ehsas hua
ki door rehkar unse humne kya hai khoya
dil ne phir li karvat aur pahuncha dia unke aahosh mein
sadiyo ki kami poori ho gai bas unke chuan ke ehsas se
kho chuke the , bikhar chuke the
door ho kar , sambhar kar gir chukhe the
kos rahe the us khuda ko jisne hume tujhse milaya
bina yeh soche ki humari bechaini ne tumhe humse door karaya
shikayat toh ab bhi labo pe hai
par teri doori ke gum se zyada nahi
phir bhi dard ke tadap mein tujhe bulate hai
bajae us khuda ke hum tera naam lete hai
No comments:
Post a Comment