tadap |
Hai khaamosh yeh palkhe , phir yeh kaisi kasak
bejaan dil ko hai najaane kiski tadap
kie tune hum par naa jaane kitne hi shaan-e-julam
seh gae tere lie hum duniya ke saare gum-o-sitam
phir kyun kaafir ki tarah tere intizaar mein khade hai hum
guzre Shehar -e- Dil ki khaamoshiyo mein kahi doobe hai hum
chasm-e-tar tere ek nigaah ko hai taras rahi
bewafaai ke shaamiyane mein kyun hoon mai jal rahi
kaash bhoola pate hum us raat ki voh chaandani
chod aate vasl mein bitaae voh lamhe sabhi
par yeh kambakht dil hokar beqraar tujhe hi hai pukarta
yeh na jaane ki tu kisi aur ko hai chaahta
No comments:
Post a Comment